Powered by Blogger.
RSS

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Ab Us Ki Marzi
K Woh Khizaa.n K Bahaar Likh De
Bahaar Ko Intzaar Likh De
Safar Ki Khwahish Ko Wahamo.n K Azaab Se Humkinaar Likh De
Wafa K Rasto.n Pe Chalne Walo.n
Ki Qismato.n Mein Ghubaar Likh De
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Hawa Ki Marzi K Wisal Mausam Mein Hijr Ko Hissa-Daar Likh De
Muhabbaton Mein Guzarne Wali Ruto.n Ko Naa-Paidaar Likh De
Shajar Ko Kum-Sayadaar Likh De
Hawa Ko Likhna Sikhaane Waalo
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai..!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment