Sabhi jazbay badaltay ja rahay hain
Kay jaisay khawab martay ja rahay hain
Koi dil kay liye dil kay makin ko
Nazar andaaz kartay ja rahay hain
Jo dil ka haal hai dil jaanta hai
Bazahir tu sambhaltay ja rahay hain
Chalay tu hain tumharay sheher say hum
Kaaf-e-afsos maltay ja rahay hain
Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khado khaal dhaltay ja rahay hain
Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judayi mangtay rehna
Zara sa ishq karlena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudayi maangtay rehna
Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsayi mangtay rehna
Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bay wafayi mangtay rehna
Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navayi mangtay rehna
Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehayi mangtay rehna
0 comments:
Post a Comment