Powered by Blogger.
RSS

urdu poetry

Kab tak hum apne armaan chipate rahinge?
Kab tak hum apni khwaishon par patthar barsaate rahinge?
Kya kuwe ke paani ki taqdeer mein khul kar behna likha nahi hota?
Kya jisne dariya ki kismet likhi thi??
Kya uske mann mein auron ke liye apna pan nahi hota?



meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye.
mare azmane wale mujhe azma k roye.
koi asa ahl-e-dil ho k fasan-a-muhabat.
main use suna k royon wo mujhe suna k roye.
meri arzoo ki dunya,dil-e-natwan ki hasrat.
jase kho k aaj shadman thy,use aaj pa k roye.
teri bewafaon per,teri kaj adaon per.
kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye.
jo sunyi anjman main shub ghum ki aap beeti.
kayi roo k muskare,kayi muskara k roye.




Aey khaloos kaho ya hamari nadaani,
Jo koi hans ke mila us se dosti karli..


Wo ik shakhs jis shikayaten thin bohot

wohi aziz tha os se mohabaten thin bohot

wo kab mila to dil main talab hi na thi

bichar gya to hamari zarurten thin bohot

wo youn mila jesy kabhi mila hi na ho

hamari zaat pe oski inayaten thin bohot

hamen apny hi yaron ne kr dia ruswa

k bat kuch bhi na thi aur wazahaten thin bohot

har moor pe hum tootty bikharty rahy

hamari zat pe tanha qayamten thin bohot

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment